Najron ki thakath ko jane kya aap
Jab khud he ho ghayal hamari najron se...
Sparsh tumhara pighlade thande baraf ko,
Hum kya chiz hain,
Pighal gaye the hum kab ke tumhari nazron se
dhundthe hain tumhe hum
in lamhon mein..
in vadhiyon mein..
in havaon mein..
phir mile tum humme..
ke ho tum to hamari tanhaiyon mein
Phul ki tarah haste raho to hum kush hain,
Dil kholkar jiya karo tho hum kush hain,
Na hai chahath Milan ki,
bus yaad kar liya karo tho hum kush hain
Aitbar na ho tho aazmakar dekh lena,
is dil ke tukde karwakar dekhlena,
har tukde par teri hi tasveer nazar aayegi,
chahe tho kareeb akar dekhlena.
Tere samne baithen hain.. phir bhi door,
teri yaadon mein khoyen… teri yaadon se door,
tere sparsh mein hain hum fida.. hokar tumse door
No comments:
Post a Comment